Gmail account me 2 step verification kaise lagate hai puri jaankari hindi me

Hello dosto kaise ho aap sub ummid hai achche honge pichle post me Maine gmail account ko secured karne ka 4 best trika bataya tha ager aap nahi padha hai to pichle post ko padhye aaj mai aap ko bataonga ki gmail per 2 step verification kaise lagate hai

Gmail me 2 step verification kaise lagaye? 

dosto gmail ek aisa account h na Jo har jagha kaam aata h kyu na vo fir Facebook ya Instagram ka account banana ho ya shopping ki koi site ho gmail ki har jagha jarurat padte h kahi bhi signup karna ho ya email I’d ko bank se link karne ki baat ho ya net banking se link karna ho matlab ager gmail account na ho to internet per hum kuch nahi kar sakte humara gmail her account se link hota h matlab is liye iski security bahut jaruri h sochye ager ya hack ho jai to hume bahut bada loss ho sakta h is liye iske security most important hai  is liye aaj mai google 2 step verification ka bare me batane ja raha hu .


 

2 step verification ki service abhi to bahut se app aur website provide karne lagi h like Facebook, WhatsApp, Instagram aur google ya sabhi companys 2 step verification ki service dati h aaj him google account me 2 step verification lagane wale h.

gmail account per security kaise lagaye

dosto aaj ka time me internet per kab kaha kya ho jai kuch bhi nahi kah sakte is liye Hume apne se apne aap ko 2 step verification laga kar secured hona jaruri hai

jaha-jaha per bhi 2 step verification security ki service milti hai vaha use activate karke rakha kyu ki usse aap ka account secured rahaga aaj mai aap ko gmail pe 2 step verification kaise lagate h vo bataonga

dosto gmail 2 step verification Google ki ek service hai ise lagane per aap ka gmail account ki security bahut high ho jati h ise lagane ka baad ager koi kahi bhi gmail I’d aur password daal ka sign in karta hai to aap ka mobile number per ek otp google bhajta h use daalne per hi vo log in hoga ager vo otp code wrong daalta hai to account me login nahi ho paiga matlab aap ka gmail per 2 step verification lagane ka baad aap ka gmail koi hack nahi kar paiga ya jo trika mai batane ja raha hu use aap phone se aur laptop se done se kar sakte h dono ka trika same hai.


gmail account per 2step verification lagane ka trika step by step

step:1 subse pahle google me likha 2 step verification aur search kare aur pahle wale ko open kare ya yaha click kare.

step:2 abhi aap google ka 2 step verification page per aa gai h yaha google ne kuch 2 step verification ka bare me bataya hai use padhe dosto ab scroll dawn kare aap ko nicha ki traf ek get started ka option dekhai daga vahan click kare.

step:3 abhi aap ka saamne again get started ka option ayega aapko fir se vahin get started per click karna hai.

step:4 abhi aap ko jis bhi gmail me 2 step verification lagana h vo gmail select karna hai aur uska password daalna hai.

step:5 abhi aap ko sign in ka second step pura karna hai aap ko sign in approvel dana hoga try it now per click kare jis phone me already ya gmail login h use apne pass rakha aur uska data on rakhe ek notification ayega approval ka liye yes pe click kare.

step:6 ab aap ka saamne aapka mobile no aa jaiga ager nahi ata h to enter kar le aapko ise number pe ek otp ayega.

step:7 abhi aapko select karna hai ki aap otp kaise lana chate h massage se yaar call me aap kuch bhi select kare aur send per click kare.

step:8 ab aapke no per google ki traf se ek otp bhaja jaiga otp enter karna hai aur next per click karna hai.

step:9 ab aap ka 2 step verification lagbhag on hone wala hai aapko turn on pe click karna hai click karte hi aap ka 2 step verification on ho jaiga.

Conclusion

To dosto ye the hamri aaj ki post jisme humne jana ki gmail par 2 step verification kaise lagaye asha hai aap ko gmail par security lagane ka tarika samajh me aa gaya hoga aur aap ne gmail account par 2 step verification laga diya hoga.

Is post me aapne jana

  • Gmail par 2fa kaise lagaye
  • Gmail par security kaise lagaye
  • Gmail par 2 step verification lagane ka tarika

To dosto kaise lage ya post comment me jarur bataye agar aapke man me koi sawal ya sujhav hai to use bhi comment kar sakte hai aur ha dosto is post ko jyada se jyada share karye ta ki sabhi apne gmail per 2 step verification laga sake.I expect aap ko ya post pasand aye hogi.

Leave a Comment